Sunday, 1 May 2016

Hum Wohi, Tum Bhi Wohi, Mosam Wohi Manzar Wohi

Jagmagatey Shehar Ki Ranaiyon Mein Kya Na Tha 
Dhoondney Nikla Tha Jiss Ko Main Wohi Chehra Na Tha

Rait Pay Likhey Huwwy Naamon Ko Parrh Kar Daikh Lo
Aaj Tanha Reh Gaya Hoon Kal Magar Aisa Na Tha

Hum Wohi, Tum Bhi Wohi, Mosam Wohi Manzar Wohi
Faasla Barrh Jaaye Ga Itna Kabhi Socha Na Tha

Fikr Ke Dar Pay Koi Aahat Koi Dastak Nahin
Woh Faqat Bimaar Jiss Ka Koi Humsaya Na Tha

Chorr Aaya Jin Safeenon Ko Talatum Kay Qareeb
Na-khuda Unn Mein Tera Shayad Koi Apna Na Tha ...!!

No comments:

Post a Comment