Tuesday, 20 January 2015

Urdu Ghazal Poetry, Hawa ki zad mein jo aa gaye the woh aasheyany bikharty dekhy,

Hawa ki zad mein jo aa gaye the woh aasheyany bikharty dekhy
Kahen pe aoraq reza reza kahen pe alfaz marty dekhy

Yon raz-e-hasti samjh mein aya fasana jan ka silsala bhi
Jo khasta peron ki tehneyon se khizan mein paty bicharty dekhy

Guzaar do zabt ki sabelon pe shidat gham ki talkheyon ko
Yeh zakham kya waqt ke saharon pe sookhy darya bhi bharty dekhy

Tumhara mera to silsala bas zara si mudat ka silsala hai
Woh log kesy the jo mohabbat mein had se aagy guzarty dekhy

Yeh qismaton ka fatoor hai jo azal se thehra hoa hai ab tak
Hein sabza zaron mein pair aisy keh jin se panchhi bhi darty dekhy

Tery badalny pe kya gila jab mujhy kabhi tum mily nahin ho
Main ne sar-e-dhoop rah mein aksar badan se saey bicharty dekhy

Yeh sal-e-no phir azeeyaton ka piyam laya hai mery ghar mein
Keh rat kamry ki seehreyon jo main ne saey utarty dekhy

Khuda kary khair ho Aqeel ab main jag betha hon jis se dar kar
Woh khawab kya tha keh aag ki zad mein shehr sary jalty dekhy.

No comments:

Post a Comment