Monday 13 June 2016

Ta'aluq Toot Jate Hain...

Kon Unhe Samjhaye 
Kon Unhe Batlaye

Bohat Khamosh Rehne Se 
Ta'aluq Toot Jate Hain...







Waqt Wo Koh-e-Giraan Hai

Waqt Wo Koh-e-Giraan Hai 

Jis K Malbay Talay

Sirf Insan Hi Nahi 

Khawab Bhi Dab Jate Hain...




Wo Lakeeron Me Nahi Mila Karte...

Chor Dia Hum Ne Aitbar 

Qismat Ki Lakeeron Pe Wasi

Jo Dilon Me Bus Jaen 

Wo Lakeeron Me Nahi Mila Karte...



Mukhtasir Itna K

Mukhtasir Itna K 
Do Harfon Se Ban Jata Hai Dil
Aur Wasee Itna K 
Is Me Do Jahan K Raaz Hain...



Laakh Samjhaya Usy Ghairon Se Na Mila Kro

Laakh Samjhaya Usy Ghairon Se Na Mila Kro
Hans Kar Kehne Lage Tum Bhi To Pehle Ghair Thi...

Nend Se Jaag Kr Idhar Udhar Dhundta Hun Main

Nend Se Jaag Kr Idhar Udhar Dhundta Hun Main
Q Khawbon Me Mere Itne Qareeb Chali Ati Ho Tum...

Aankh Pur-num, Ashq Zam Zam

Aankh Pur-num, Ashq Zam Zam
Sans Madham, Waqt Hai Kam

Wasl Rahat, Hijr Matam
Aah Nikle, Mout Marham...

Khayal Kese Kese

Mere Dil Ko Aate Hain Khayal Kese Kese
Jane Wala De Gaya Hai Sawaal Kese Kese

Meri Manzil Ki Jaanib Koi Rahguzar Hi Nahi
Taqdeer Bunn Rahi Hai Ab K Jaal Kese Kese

Kabhi K Din Bary Kabhi Ki Raatain
Zindagi Ne Guzaar Diye Maah-o-Saal Kese Kese

Lamha Lamha Khamosh Rehna Lamha Lamha Udaas
Hum Ne Paal Liye Hain Wabaal Kese Kese

Humy To Pyar Faqat Us Ek Chehray Se Tha
Wagarna Dekhne Ko Hain Husn-o-Jamaal Kese Kese

Khamoshi Kisi Sawal Ka Jawab Kya Ho Akaash
Khamoshi Khud Paida Karti Hai Sawaal Kese Kese...

Ye Kon Log Andhairon Ki Bat Karte Hain

Ye Kon Log Andhairon Ki Bat Karte Hain
Abhi To Chand Teri Yad K Dhale Bhi Nahi...

Tu Ne To Tark-e-Mohabbat Ki Qasam Khai Thi

Tu Ne To Tark-e-Mohabbat Ki Qasam Khai Thi
Kiun Teri Aankh Mujhe Dekh Kar Bhar Ai Hai...?

Ab Kitaabon Main Jee Nahi Lagta

Ab Kitaabon Main Jee Nahi Lagta
Betha Insaan Parhta Rehta Hun...

Maslihat K Dhaagon Ne Hont Si Diye Mere

Maslihat K Dhaagon Ne Hont Si Diye Mere
Warna Apne Tootne Ka Kis Ko Gham Nahi Hota...

Bhool Jaun To Jee Nahi Lagta

Bhool Jaun To Jee Nahi Lagta
Yaad Ate Ho Dum Nikalta Hai...

Dekh Sooraj Tu Har Jaega

Dekh Sooraj Tu Har Jaega
Maa Dupatta Bhigo K Lai Hai...

Taveel Asraat Chor Jata Hai

Taveel Asraat Chor Jata Hai
Yoon Tera Mukhtasir Sa Yaad Ana...

Tujh Se Mangun Bheek Aur Wo Bhi Pyar Ki

Tujh Se Mangun Bheek Aur Wo Bhi Pyar Ki
Ab Itna Bhi Bura Waqt Meri Jan Nahi Aya...

Ibtida-e-Ishq

Abhi To Ibtida-e-Ishq Hai Is Qadar Nidhal Kiun
Intiha-e-Ishq Tak To Sansain Hi Tham Jaengi...

Haqeeqat Se Bohat Door Thin Khawahishen Meri

Haqeeqat Se Bohat Door Thin Khawahishen Meri
Phir Bhi Khawahish Thi K Ek Khawab Haqeeqat Hota...

Kitne Nazuk Hain Mere Hont, Kiun In Ko Yoon Masal Dete Ho

Kitne Nazuk Hain Mere Hont, Kiun In Ko Yoon Masal Dete Ho
Ye Phoolon Jese Hain Par Phool To Nahi Hain...

Khamoshiyan, Yad-e-Yar, Ye Zalim Log Aur Me Akela

Khamoshiyan, Yad-e-Yar, Ye Zalim Log Aur Me Akela
Muskura Deta Hun Bali Jab Buss Nahi Chalta...

Kaash

Kaash Tu Mujh Ko Muyassar Hi Na Aya Hota
Kaash Main Teri Mohabbat Ka Na Aadi Hota...

Mohabbat Phool Jesi Hai

Mohabbat Phool Jesi Hai
Yaqeenan Bik Bhi Sakti Hai...

Tum Aty Ho Chale Jate Ho

Tum Aty Ho Chale Jate Ho
Main Jurti Hun Toot Jati Hun...

Suna Hai Jin Ki Baaten Misl-e-Khushbu Phail Jati Hain

Suna Hai Jin Ki Baaten Misl-e-Khushbu Phail Jati Hain
Bohat Bikhre Hue Hote Hain Aise Log Andar Se...

Main To Is Wasty Chup Hun K Tamasha Na Bany

Main To Is Wasty Chup Hun K Tamasha Na Bany
Tu Samajhta Hai Mujhe Tujh Se Gila Kuch Bhi Nahi...

Abhi Urooj Par Hai Tumhara Mosam

Abhi Urooj Par Hai Tumhara Mosam
Khizaan Me Tum Ko Khareed Lenge

Bano Ge Hum Se Rehem K Taalib
Na Tum Ko Mohlat Mazeed Denge

Adaa K Qissay Hue Purany
Jafa Ka Mosam Khatam Hi Samjho

Karenge Tum Se Hisaab Jana
Na Tum Ko Mohlat Mazeed Denge

Wafa Ki Lalach Me Hum Ne Jana
Khoon Apna Jala Diya Hai

Faraib-o-Masti K Badlay Tum Ko
Saza Bhi Sun Lo Shadeed Denge

Abhi Urooj Par Hai Tumhara Mosam
Khizaan Me Tum Ko Khareed Lenge...

Maa

Qabar Ki Aghosh Me Thak Kar So Jati Hai Maa
Tab Kahin Ja K Thora Sukoon Pati Hai Maa

Fikar Me Bachon Ki Kuch Is Tarha Ghul Jati Hai Maa
Naujawan Hote Hue Bhi Burhi Nazar Ati Hai Maa

Rooh K Jazbon Ki Ye Gehraiyan To Dekhiye
Chaut Hum Ko Lagti Hai Aur Chillati Hai Maa

Chahe Hum Khushiyon Me Maa Ko Apni Bhool Jaen Lekin
Jab Museebat Sir Pe Aye To Yaad Ati Hai Maa

Shukriya Ho Hi Nahi Sakta Kabhi Us Ka Adaa
Marte Marte Bhi Dua Jeeny Ki De Jati Hai Maa

Pyar Kehte Hain Kise Aur Mamta Kya Cheez Hai
Ye To Un Bachon Se Pucho Jin Ki Mar Jati Hai Maa...

Maa

Ghar Main Ek Ann-Parh Burhi
Mera Dil Parh Leti Hai..

Samny Manzil Thi Aur Piche Uski Awaz

Samny Manzil Thi Aur Piche Uski Awaz
Rukta To Safar Jata, Chalta To Bichar Jata

Maykhana Bhi Usi Ka Tha, Mehfil Bhi Uski Thi
Agr Peeta To Emaan Jata, Na Peeta To Sanam Jata

Saza Aisi Mili Mujh Ko, Zakham Aise Lage Dil Par
Chupata To Jigar Jata, Sunata To Bikhar Jata...

Us Marhaly Ko Mout Bhi Kehte Hain Dosto

Us Marhaly Ko Mout Bhi Kehte Hain Dosto
Ek Pal Me Toot Jaen Jahan Umer Bhar K Sath...

Me Ye Soch Kar Bhi Tum Se Mohabbat Karta Hun

Me Ye Soch Kar Bhi Tum Se Mohabbat Karta Hun
Mera To Koi Hai Nahi Tumhara To Koi Ho...

Tera Mujh Se Juda Hona Aise Hai

Tera Mujh Se Juda Hona Aise Hai
K Jese Jism Se Rooh Nikal Li Jaye...

Jaan Dene Ki Ejazat Bhi Nahi Dete Ho

Jaan Dene Ki Ejazat Bhi Nahi Dete Ho
Warna Mar Jaen Aur Mar K Mana Len Tum Ko...

Bojhal Hai

Dil Hijr K Dard Se Bojhal Hai
Ab Aan Milo To Behtar Hai
Is Bat Se Hum Ko Kya Matlab
Ye Kese Ho Ye Kiun Kar Ho...

Kuch Bhi Nahi

Us K Nazdeek Gham-e-Tark-e-Wafa Kuch Bhi Nahi
Mutma-in Aise Hai Jese Hua Hi Kuch Bhi Nahi
Ab To Hathon Ki Lakerain Hi Miti Jati Hain
Us Ko Kho Kar To Mere Pas Raha Hi Kuch Nahi...

Ek Taveel Arsy K Bad

Ek Taveel Arsy K Bad
Hansi Ai Bhi To Apne Hi Hal Par...

Wo Roya To Zaroor Hoga Khali Kaghaz Dekh Kar

Wo Roya To Zaroor Hoga Khali Kaghaz Dekh Kar
Zindagi Kese Beet Rahi Hai Pucha Tha Sawal Us Ne...

Roye

Koi Dikha K Roye Koi Chupa K Roye
Humain Rulane Wale Hum Ko Rula K Roye
Marne Ka Maza To Tab Hai Sagar
Jab Qaatil Bhi Maiyyat Utha K Roye...

Har Shakhs Saniha Hai

Har Shakhs Saniha Hai
Har Zaat Ek Kahani...!

Mere Qissy Sar-e-Bazar Uchaly Us Ne

Mere Qissy Sar-e-Bazar Uchaly Us Ne
Jis Ka Har Aib Zamany Se Chupaya Main Ne...

Milna Hai To Mil Isi Duniya Me

Milna Hai To Mil Isi Duniya Me
Phir Kya Milna Hoga Jab Lash Hogi Kafan Me...

Jannat Se Jee Larazny Laga Jab Se Ye Suna

Jannat Se Jee Larazny Laga Jab Se Ye Suna
Ehal-e-Jahan Wahan Bhi Milenge Yahan K Bad...

Jo Pukarta Tha Har Ghari, Jo Jura Tha Mujhse Lari Lari

Jo Pukarta Tha Har Ghari, Jo Jura Tha Mujhse Lari Lari
Koi Aisa Shakhs Agar Kabhi, Mujhe Bhool Jaye To Kya Krun...

Badal Gaye

Wo Lehje Bhi Badal Gaye Wo Rawaiye Bhi Badal Gaye
Jese Jese Duniya Badalti Gai Wese Wese Log Badalte Gaye...

Azal Se Be-Thikana Hun

Azal Se Be-Thikana Hun
Mujhe Ghar Jane Do...

Banaya Gaya

Bari Hi Tarteeb Se Mujh Ko Kafir Banaya Gaya
Aadmi Ko Khuda Bana Kar Mere Samny Laya Gaya

Jab Bhi Puchne Gaya Me Apne Junoon Ka Elaj
Be-Rehmi Se Mujh Ko Kitabon Me Phasaya Gaya

Chand Logon Ki Bat Na Man'ny Par
Mere Hi Samny Mujh Ko Jalaya Gaya

Teri Rehmaton Ki Misaal Such Me Nahi
Kaaba Torne Wala Bhi Kabay Me Paya Gaya

Khatam Hui Talash Apne Dushman Ko Dhundne Ki
Kal Jab Mujhe 'Abbas' Aina Dikhaya Gaya...

Is Raah-e-Mohabbat Ki Tum Baat Na Pucho

Is Raah-e-Mohabbat Ki Tum Baat Na Pucho
Anmol The Jo Insan Be-Mol Bik Gaye..

Kabhi Razi To Kabhi Mujhse Khafa Lagti Hai

Kabhi Razi To Kabhi Mujhse Khafa Lagti Hai
Bata Aye Zindagi Tu Meri Kya Lagti Hai...

Hum Ko Ata Nahi Zakhmon Ki Numaish Karna

Hum Ko Ata Nahi Zakhmon Ki Numaish Karna
Khudi Rote Hain, Tarapte Hain Or So Jate Hain...

Mad-Hosh Mat Karo Mujhe Apna Husn Dikha Kar

Mad-Hosh Mat Karo Mujhe Apna Husn Dikha Kar
Mohabbat Agar Chehre Se Hoti To Khuda Dil Na Banata...

Meri Yad Bhi Qayamat Jesi Hai

Meri Yad Bhi Qayamat Jesi Hai
Ek Din Aye Gi Zaroor...

Ajeeb Kashmakash Si Rehti Hai Mere Dil Me Fajar K Waqt

Ajeeb Kashmakash Si Rehti Hai Mere Dil Me Fajar K Waqt
Ankhen Kholun To Sanam Jaye Jo Na Kholun To Khuda..

Suna Tha Pehli Mohabbat Hamesha Galat Insan Se Hoti Hai

Suna Tha Pehli Mohabbat Hamesha Galat Insan Se Hoti Hai
Tum Se Mila To Yaqeen Bhi Ho Gaya...

Tum Ko Dekha To Phir Us Ko Na Dekha

Tum Ko Dekha To Phir Us Ko Na Dekha
Chand Kehta Raha Me Chand Hun Me Chand Hun...

Baharon K Qafily Ko Kuch Der Rok Lo

Baharon K Qafily Ko Kuch Der Rok Lo
Aty Hain Hum Bhi Pairon Se Kanty Nikal Kar...

Dil Me Phir Se Khushiyon Ka Paigham Aya Hai

Dil Me Phir Se Khushiyon Ka Paigham Aya Hai
Mubarik Ho Momino Phir Se Ramadan Aya Hai...

Kab Se Chaya Hai Alam-e-Tareeki

Kab Se Chaya Hai Alam-e-Tareeki
Na Jane Kab Sahar Ho Gi...

Ja Ab Teri Tamanna Kary Koi

Pehle Tujh Ko Tamanna Meri Thi
Aur Mujh Ko Tamanna Teri

Aur Ab Tujh Ko Tamanna Kisi Aur Ki Hai
Ja Ab Teri Tamanna Kary Koi...

Khulna Ghazab Hua Teri Zulf-e-Daraz Ka

Khulna Ghazab Hua Teri Zulf-e-Daraz Ka
Phansi Gale Main Daal K Duniya Latak Gai...

Bari Sochen

Bari Sochen Mere Chehre Pe Chipki Reh Gai Humdum
Me Jawan Umri Me Hi Sadiyon Purana Ho Gaya...

Meri Jholi Main Jitne Bhi Wafa K Phool Hain Un Ko

Chalo Ab Aisa Karte Hain Sitarey Baant Lete Hain
Zarurat K Mutabik Hum Sarey Baant Lete Hain

Mohabbat Karne Walon Ki Tijarat Bhi Anokhi Hai
Munafa Chor Dete Hain Khasaarey Bant Lete Hain

Agar Milna Nahi Mumkin To Lehron Pe Qadam rakh Kar
Abhi Darya-e-Ulfat k Kinaarey Baant Lete Hain

Meri Jholi Main Jitne Bhi Wafa K Phool Hain Un Ko
Ekathey Beth Kar Saarey k Saarey Baant Lete Hain

Muhabbat K Ilawa Pass Apne Kuch Nahi Ab To.
Issi Dolat Ko Hum Qismat K Maarey Baant Lete Hain�

Jaisay Phoolo Ki Khushboo Ke Jaisa

Jaisay Seep Mai Band Koi Moti Jaisa,
Jaisay Sagar Ki Lahro'n Ke Jaisa,
Jaisay Aasmaa'n MAa Chamakte Sitaro'n Ke Jaisa,
Jaisay Paani Ki Unn Bundo Ke Jaisa,
Jaisay Phoolo Ki Khushboo Ke Jaisa,
Jaisay Shayar Ki Shayari Ke Jaisa,
Mere Inhi Kuch Khayalo Ke Jaisa,
Mere Dil Mai RahoGy Tum Kuch Aisay Hamesha

Ek Baar MasJid e Nabvi Me Khaana Takseem Ho Raha Tha,

BEAUTIFULL POST
.
Ek Baar MasJid e Nabvi Me Khaana
Takseem Ho Raha Tha,
Ek Shakhs Ne 2 Aadmiyon Ka Khaana
Maanga..
Jab Us'se Sawal Kiya Gaya Ki 2
Aadmiyon Ka Khaana Kyun?
To Usne Kaha 1 Mere Liye aur 1 Us
Shakhs Ke Liye Jo Kone Me Baitha.
Sookhi Roti Paani Me Dubo Kar Khaa Raha Hai... 

Is Par Usse pucha gaya
ki unhe tum jante ho. 
us saksh ne kaha nahi.
Us Shaks Ne Poocha Kon Hain Wo.?

Jawab Mila: Wo Hamare Khalifa
Hazrat Abu Bakar Siddiq (Razi Allahu Anhu) Hain...
Ussi Ka Diya To Hum Takseem Kar
Rahe Hain...

Mohabbat Se Fateh Kar Letey Hai Hum Logon Ke Dilon Ko

Mohabbat Se Fateh Kar Letey Hai Hum Logon Ke Dilon Ko

Hum Asey Sikandar Hai, Jo Lashkar Nahin Rakhte

Main Tumko Bhool jaungi

Abhi Kuch Der Baqi Hai
Khizan Ke Beet Janay Mein
Gulon Ke Muskuraney Mein
Khushi Ke Geet Ganay Mein
Baharon Ke Zamanay Mein
Shehar Ke Jugmaganay Mein
Tumhare Lout Aanay Mein
Abhi Kuch Der Baki Hai

Main Tumko Bhool jaungi
Na Tum Ko Yaad Aaungi
Main Tumse Door Reh Ker Bhi
Tumko Jee Kar Dikhaungi
Tumko Maloom Hai Lekin
Yeh Sab Main Ker Na Paoongi
Kay Tumko Bhool Janay Mein
Abhi Kuch Der Baki Hai

Mohabbat Bas Mohabbat Ho

Mohabbat Dukh Nahi Deti
Agar Be-gharz Ho Jazba
Agar Manzil baney Rasta
Agar Chahat k Pardey Main
Koi Lalach Na Ho Lipta

Agar Tum Sonp Do Sab Kuch
Silay Main Kuch Na Maango
Agar Sauda Na Ho Koi
Mohabbat Bas Mohabbat Ho
Tu Phir Yea Sukh He Deti Hai
Kabhi Dukh Nahi Deti
Mohabbat Dukh Nahi Deti..

Raat din Tum ko faqat Tum ko mujhe sochna hai..

Tum Mere Dard bhi, Gham bhi, Aalaam bhi Tum..
Tum Mera chain ho jana, mera Aaraam bhi Tum..

Raat din Tum ko faqat Tum ko mujhe sochna hai..
Meri fursat bhi Tumhi Aur mera har kaam bhi Tum

Hasti ko muhabbat me fana kon karey ga ,

Hasti ko muhabbat me fana kon
karey ga ,
ye farz zamanay me Aada kon karey ga ,

haton ki lakeero ko zara dekh
najoomi ,
ye dekh mere sath wafa koun karey.

Kitna Sakoon Deta Hai Wahan Tanha Baith Ke Rona..!

Kitna Sakoon Deta Hai Wahan Tanha Baith Ke Rona..!

Jahan ALLAH Ki Zaat Meri Sanson Se Bhi Qareeb Ho..

Sunday 12 June 2016

Mera Shoq-e-Lazawal Hai Woh

Meri Khawahish Mera Shoq-e-Lazawal Hai Woh
Ab Or Kya Likhon Yaron Mera Ek Khayal Hai Woh
Abi Tak Na Aya Koi Us Sa Zindagi Mein Meri..!
Mere Liye Anmool Hai Or Bemisaal Hai Woh 
Mujhe Jeene Ka Hunar Bata Diyaaa..!
Zindagi Ka Ek Khobsurat Andaaaz Hai Woh 
Mere Hosh-e-Hawas Udaaa Diye..!
Mohabbat Mein Aisaa Bakamal Hai Woh 
Use Paa Lon Us Ka Hi Ban Jaon 
Meri Arzoo Mere Har Sawal Ka Jawab Hai Woh
Us Ke Hone Se Mera Wajood Hai Nazim
Woh Hi Mera Beeta Kal Or Mera Haal Hai Woh
(Nazim Ali)




Humein Hai Mohabbat Tumse Kaise Tujhe Hum Batayen

Humein Hai Mohabbat Tumse Kaise Tujhe Hum Batayen
Yeh Raaz Bhala Kaise Duniya Se Hum Chhupaye

Eh Sanam Teri Saadgi Pe Fida Ho Gaye Hum
Tera Chehra Yeh Roz Sapno Mein Aakar Hume Sataye

Tumhe Kya Khabar Koi Tumhe Kis Qadar Chahta Hai
Dil Darta Hai Jataye To Kaise Hum Jataye

Dil Ki Har Umang Pe, Mausam Ke Har Rang Pe
Koi Chupke Se Aakar Tera Naam Kyun Likh Jaaye

Tum Basi Hui Ho Humdum Sirf Mere Sapno Mein
Par Tum Zindagi Ki Haqiqat Ho Kaise Hum Batlayen.

Likhna Dil Ka Hisab Chupke Se,

Likhna Dil Ka Hisab Chupke Se,
Mujhko Dena Jawab Chupke Se !

Mere Khwabon Me Tum Chali Aana,
Mai Bhi Dekhunga Khwab Chupke Se!

Mai Zamane Se Chhup Ke Dekhunga,
Tum Hatana Nakab Chupke Se !

Dil Ki Duniya Me Jab Bhi Aana Ho,
Aaeeyega Janab Chupke Se !

Chahta Hun Ke Sara Ghar Mahake,
Yun Khile Eek Gulab Chupke Se !

Har Warak Par Hai Guftagoo Tumse,
Parhna Dil Ki Kitab Chupke Se !!

Bila Jawaz Rakhein Khud Ko Beqarar Bhi Kiyon

Bila Jawaz Rakhein Khud Ko Beqarar Bhi Kiyon
Jo Tu Nahin To Phir Tera Intezar Bhi kiyon

Akele Pan Ka Safar Jab Mera Muqaddar Hai
To Phir Ae Wada Shikan Teri Rehguzar Bhi kiyon

Usey Ganwa Ke Raha Ab Khizaon Ki Zad Mein
Jo Woh Nahin To Phir Mosam-E-Bahar Bhi kiyon

Jab Insan ki Ankhoon Sy Nadamat Ky Ansoo Behty Hain ,

Jab Insan ki Ankhoon Sy Nadamat Ky Ansoo Behty Hain ,

To Us Per RAB Ki Rehmat Barasti Hy..

Teri duaon par barsay qabooliyat ki phuwaar,

Kabhi wo subha na aye jo tujhay raas na ho,
Khuda karay k tera dil kabhi udaas na ho,

Teri duaon par barsay qabooliyat ki phuwaar,
Jo bujh na paye tujhay aisi koi pyaas na ho,

Khuda karay k tujhay koi aisa gham na milay,
Jis ki tadbeer tere paas na ho.

Dukh Jheelta Raha" Kabhi Tum Se Nahi Kaha

Dukh Jheelta Raha" Kabhi Tum Se Nahi Kaha,
DiL Doobta Raha" Kabhi Tum Se Nahi Kaha,

Dunya Ne Tere Naam Pe Kia Kia Sitam Kiye,
Main Toot'ta Raha" Kabhi Tum Se Nahi Kaha,

Itni Hui Hen Kirchiyan Mere KhuLoos Ki,
Main Dekhta Raha" Kabhi Tum Se Nahi Kaha,

Be_Dard Ansoun K Samandar Main Raat Din,
Main Doobta Raha" Kabhi Tum Se Nahi Kaha,

Aakhir Koi To Baat Thi Jo Hum Na MiL Sakay,
Main Sochta Raha' Kabhi Tum Se Nahi Kaha...!

Wajib Hai Har Ameer Pe Sadqa Zakaat ka..

Wajib Hai Har Ameer Pe Sadqa Zakaat ka..

Tum Bhi Ameer-e-husn Ho, Sadqa Diya Kro..

Bikhra Wajood, Tootay Khuwab, Sulagti Tanhaiyaan...

Bikhra Wajood, Tootay Khuwab, Sulagti Tanhaiyaan...

Kitnay Haseen Tohfay De Jaati Hai Ye Adhori Mohabbat...

Raat ko chupkay se Aaati hai aik pari,

Raat ko chupkay se Aaati hai aik pari,
kuch khushiyo ke spne latihai aik parri,

kehti he sapno ke Aaagosh mein kho jaao
bhoool ke sare gam chupke say so jao.

Hum Pagal Chand Ko Pany Chaly The

Hum Pagal Chand Ko Pany Chaly The
Humein Kya Khabar Thi Khud Ko Rulane Chaly The,

Ab To Daman Mein Bas Yaadein Hi Pari Hai
Bawafa Ho Kar Bhi Bewafa Kehlwany Chalay The,

Humain Thukra Kar Rota To Wo Bhi Ho ga
Jissey Hum Sachi Mohabbat Nibhany Chalay The,

Ab To Khuwab Tootay Hain To Ye Ehsaas Huwa
Hum Samandar K Kinare Mehal Banane Chalay The,

Dil Dukhaya Hai Tum Ne Par Sada Khush Raho Dost
Hum Teri Rahoon Main Phool Bichany Chalay The...

Saturday 11 June 2016

Aziyat Se Main

ﭘﮭﺮ ﺍﯾﮏ ﺭﺍﺕ ﺍﺫﯾﺖ ﺳﮯ ﻣﺮ گیا تھا ﮐﮩﯿﮟ
ﺗﻤﮩﺎﺭﮮ ﻋﺸﻖ ﮐﻮ ﺍﻧﺪﺭﺳﮯ ﻣﺎﺭتا ہوا ﻣﯿﮟ

Jisne rakha hai mujhe apni nighebani mein

Jisne rakha hai mujhe apni nighebani mein
Ab sambhale ga wohi be-saaro samani mein

Aisa lagta hai k tu dekhta rehta hai mujhe
Aisa lagta hai k mein hon teri nigrani mein..!

Tumhari Thi , Tumhari Hon ,

Tumhari Thi , Tumhari Hon , Tumhari He Rahon Gi Main,

Mare Bare Main Iss Darja Ghalat Fehmi Main Mat Rehna.!

Raabtey Iss Liye Main Torr Raha Hoon Sab Se,,

Raabtey Iss Liye Main Torr Raha Hoon Sab Se,,

Mar Bhi Jaaon To Kisi Aankh Mein Aansoo Na Mile.!

Tum Kya Karogay Tum Se Sambhala Na Jaiga,

Tum Kya Karogay Tum Se Sambhala Na Jaiga,

Laao Mujh He ko Do Woh Mera Beqaraar Dill...!!

Dil Dhadakne Ka Tassawwar Bhi Khayali Ho Gaya,

Dil Dhadakne Ka Tassawwar Bhi Khayali Ho Gaya,

Ek Tere Jaane Se Sara Sheher Khali ho Gaya..

Woh Shaks Jise Duniya Bewafa Samajti Rahi...

Woh Shaks Jise Duniya Bewafa Samajti Rahi...

Maanga Kuch Nahi Usne Teri Mohabbat Ke Siwa..!

Kehna He Para Un Ko Yeh Khatt Parh Ky Hamara,

Kehna He Para Un Ko Yeh Khatt Parh Ky Hamara,

Kambakht Ki Har Baat Mohabbat Say Bhari Hai...!

Mujhe masoom si larki pe tars ata hai

Mujhe masoom si larki pe tars ata hai,

Ise dekho to Muhabat me magan kesi hai.

Khuwabon sey mujh ko aur na behla sake gi tu,

Khuwabon sey mujh ko aur na behla sake gi tu,

Rehney dey zindagi! Tera jadu utar gaya....

Tufaan ki lehro ruk Jao Na le Jao Mujh ko Saahil par

Tufaan ki lehro ruk Jao Na le Jao Mujh ko Saahil par

Kashti ki Qasam,Mojon ki Qasam,Saahil pe Hamara koi nahi

Thursday 9 June 2016

Tum to apny ho Tumhen DiL sy Nikaalen kesay..!

Tum to apny ho Tumhen DiL sy
Nikaalen kesay..!

Hum to Dushman ko bhi
begharr nahi honay detay..!

Tujhe Khabar Bhi Nahi Tere Itnay Paas Hoon Men,

Tujhe Khabar Bhi Nahi Tere Itnay Paas Hoon Men,
Tere Dil Ko Jo Chou K Guzra, Woh Ehsaas Hoon Men,

Tu Ne Mujhe Jane Ek Nazar Bhi Na Dekha Ho,
Per Teri Har Ek Nazar K Pas Hoon Men,

Tere Dil Men Hardam Basera Hay Mera,
Tere Khayalon Ki Ek Parwaz Hoon Men

Jaaney Kesi Kashish Hay Tere Chehre Per,
In He Sawalon Ki Zaair-E-Talash Hoon Men

Meri Mohabbat To Sada Tere Sath Rahegi,
Waisay To Paymanay Say Chalakta Jaam Hoon Men,

Teri Muskurahat Dil Per Ek Qayamat Si Dhati Hay,
Teri Dhun Pe Bajta Hua Koi Saaz Hoon Men,

Mehfil Men Tera Woh Tanha Hona,
Teri Nazroun Ki Aaj Bhi Talash Hoon Men,

To Jo Hans Ker Mujhe Pyar Bharey Do Lafz Kehday
To Khushi Se Jan Dene Ko Bhi Tayar Hoon Men.

Bus Ye Soch Kar Khwaish Hi Mita Di Apni...

Bus Ye Soch Kar Khwaish Hi Mita Di Apni...

Mujh mein Koi Or Hai Jo karTa Hai Marzi Apni..

Apni Taqdeer Ka Har Faisla ALLAH key Haath Me De Do,

Asslamu-Alaikum

HAZRAT MUHAMMAD Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya :

Apni Taqdeer Ka Har Faisla ALLAH key Haath Me De Do, Us Se Dua Tou Karo Par Zid Na Karo Q key Jab ALLAH Ta'ala Pe
Apni Zindagi Ka Har Fesla Chorhte Ho Toh ALLAH Bhi Wo Hi Karta Hai Jo Tumhari Khushi Hoti Hay" 

Aur Farmaya "Ae Logo ! Tum Apni Raza ALLAH Ki Raza Main Shamil Karo Phir Dekhna Wo Kis Trha Apni Raza Tumhari Raza Main Shamil
Kerta Hay. Beshak ALLAH Sab Se Behter Janny Wala Hay" ... 

Jumma Mubarak

Kabhi Wesy RAB Se Tum Bhi Mujhe Maang Lo.

Apni Dharkano Se Kuch Aisy Mera Naam Lo
Ye Waqt Ruk Jaye Is Lamhy Ko Thaam Lo,

Teri Aankhon Mai Jhalak Ho Aesi Mere Pyar Ki
Saahil Pe Jesay Dhalti Haseen Shaam Ho,

Lafzon Se Hota Nhi Izhaar Hum Se Pyar Ka
Bs Meri Aankhon Mai Dekh Kr Khud Ko Pehchaan Lo,

Jesy Tarasta Hai Sehra Shabnam K Choonay Ko
Kabhi Wesy RAB Se Tum Bhi Mujhe Maang Lo.

Us Ke Khyaal Se Hi Itni Khoobsurat Hai Duniya....

Us Ke Khyaal Se Hi Itni Khoobsurat Hai Duniya....

Wo Sath Hoga, To Kya Baat Hogi...

Ek kasak Si Hai DiL Me...k Maalum Ho..

Ek kasak Si Hai DiL Me...k Maalum Ho..

Mujh Se Bichar k Woh kis HaaL Me RaHTa HoGa...

Hijr key mausam main,yeh barish ka barasna kaisa!

Hijr key mausam main,yeh barish ka barasna kaisa!
Aik sehra say samandar ka guzarana,kaisa.?

Aey meray dil na paraishaan ho,tanha ho kar!
Woh teray saath chala kab tha,bicharna kaisa.?

Jab shajar saath na de,haar samajh bethay toh!
Zard patto ka hawaoon say,ulajhna kaisa.?

Chal muhabbat kay samandar main utar jaty hain.
Pyar karna hai tou phir maut say derna kaisa.?

Bewafa kehnay ki bhi jurat na karna aey dil!
Us nay iqrar kia kab tha?mukarna kaisa.?