Raanaai-e-kaunain se be-zaar humeen the, Hum the, tere jalwon ke talabgaar humeen the ! Hai farq talabgaar-o-parastaar mein aye dost, Duniya thi talabgaar parastaar humeen the ! Is banda-navaazi ke tasadduq ke sar-e-mehshar, Goya teri rehmat ke sazaa-waar humeen the ! De de ke nigaahon ke tasawwur ka sahaara, Raton ko tere waaste bedaar humeen the ! Bazaar-e-azal yun to bahot garm tha lekin, Le de ke mohabbat ke khareedar humeen the ! Khatke hain tere saare gulistaan ki nazar mein, Sab apni jagah phool the khaar humeen the ! Haan aap ko dekha tha mohabbat se humeen ne, Jii saare zamaane ke gunahgaar humeen the ! Hai aaj wo soorat ke banaaye nahin banti, Kal naqsh-e-do-aalam ke kalamkaar humeen the ! Pachhtaaoge dekho humein begaana samajh kar, Maanoge kisi waqt ke gham-khwaar humeen the ! Arbaab-e-watan khush hain humein dil se bhulaa kar, Jaise nigah-o-dil pe bas ik baar humeen the ! �Ehsaan� hai be-sood gila unki jafaa ka, Chaaha tha unhein hum ne, khatawaar humeen the ! ~ �Ehsaan� Danish Sahab |
urdu poetry, sad poetry, urdu shayari, love poetry, romantic poetry, urdu sms. This website has a great collection of Urdu Poetry.
Thursday, 12 September 2013
Raanaai-e-kaunain se be-zaar humeen the - Ehsan Danish
Labels:
Ehsan Danish,
Sufi,
sufi poetry,
urdu,
Urdu Poetry
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment