Haram aur dair ke katbey wo dekhey jis ko fursat hai,
Yahaan hadd-e-nazar tak sirf unwaan-e-muhabbat hai;
Parastaar-e-muhabbat ki muhabbat hi shariyat hai,
Kisi ko yaad kar ke aah kar lenaa ibaadat hai;
Ho ek kiradaar tum bhi merey mamool-e-muhabbat ka,
Mujhe tumse nahin apni muhabbat se muhabbat hai;
Wo kya sajda ? rahe ehsaas jismein sar uthaane ka,
Ibaadat aur ba-qaid-e-hosh tauheen-e-ibaadat hai;
Meri dewaangi pe hosh waale bahas farmaaein,
Magar pahle unhein deewana ban�ne ki zaroorat hai;
Maqaam-e-ishq ko har aadmi �seemab� kya samjhe,
Ye hai ek martabaa, jo maawara-e-aadmiyat hai..!!!
~ Hazrat �Seemab� Akbarabadi Sahab
No comments:
Post a Comment