Sunday, 14 October 2012

Ye ishq ne dekha hai ye aql se pinhaan hai - Asghar Gondvi

~Ye ishq ne dekha hai, ye aql se pinhaan hai~


Ye ishq ne dekha hai, ye aql se pinhaan hai
Qatre mein samandar hai, zar�re mein bayaabaan hai

Hai ishq, ki mahshar mein yun mast-o-khiramaan hai
Dozakh baghareebaan hai, firdaus badaamaan hai

Hai ishq, ki shorish se ra�naai-o-zebaai
Jo khoon uchhalta hai wo rang-e-ghulistaan hai

Phir garm nawaazish hai zu-mehr darakhshaan ki
Phir qatra-e-shabanam mein hangaama-e-toofaan hai

Aye paikar-e-mehboobi main kis se tujhe dekhoon
Jis ne tujhe dekha hai wo deeda-e-hairaan hai

Sau baar tera daaman haathon mein mere aaya
Jab aankh khuli, dekha, apana hi girebaan hai

Ik shorish be-haasil, ik aatish be-pardaa
Aafat kada-e-dil mein ab kufr hai na imaan hai

Dhoka hai ye nazron ka, ye bazeecha hai lazzat ka
Jo guncha qafas mein tha, wo asal ghulistaan hai

Ik guncha-e-afsurda,ye dil ki haqeeqat thi
Ye mauj zani khoon ki, rangeeni-e-paikaan hai

Ye husn ki maujein hain ya josh-e-tamanna hai
Us shokh ke honthon par ek barq si larzaan hai

'Asghar' se miley lekin 'Asghar' ko naheen dekha
Ashaar mein sunte hain kuch-kuch wo numayaan hai

~ Janab �Asghar� Gondvi Sahab

No comments:

Post a Comment