Sunday, 1 May 2016

Bohat Tootey Huwey Hain Hum Abhi Dastak Mat Dena

Bohat Tootey Huwey Hain Hum Abhi Dastak Mat Dena
Humari Aankh Hai Pur-Nam Abhi Dastak Mat Dena

Mulaqat-E-Guzishta Ka Bhi Nishaan Nahin Utra
Mairey Saathi Mairey Humdam Abhi Dastak Mat Dena

Abhi To Dard Ke Sailaab Ne Ghaira Nahin Mujh Ko
Abhi To Ashk Hain Kam Kam Abhi Dastak Mat Dena

Mairey Yaaro Abhi Kuch Din Mairey Ahwaal Mat Poocho
Abhi Ghar Mein Hai Uss Ka Gham Abhi Dastak Mat Dena 

Hum Wohi, Tum Bhi Wohi, Mosam Wohi Manzar Wohi

Jagmagatey Shehar Ki Ranaiyon Mein Kya Na Tha 
Dhoondney Nikla Tha Jiss Ko Main Wohi Chehra Na Tha

Rait Pay Likhey Huwwy Naamon Ko Parrh Kar Daikh Lo
Aaj Tanha Reh Gaya Hoon Kal Magar Aisa Na Tha

Hum Wohi, Tum Bhi Wohi, Mosam Wohi Manzar Wohi
Faasla Barrh Jaaye Ga Itna Kabhi Socha Na Tha

Fikr Ke Dar Pay Koi Aahat Koi Dastak Nahin
Woh Faqat Bimaar Jiss Ka Koi Humsaya Na Tha

Chorr Aaya Jin Safeenon Ko Talatum Kay Qareeb
Na-khuda Unn Mein Tera Shayad Koi Apna Na Tha ...!!

wo jo daway dare ha shahar me ka sabhi ka nabez shanse hoon

wo jo daway dare ha shahar me ka sabhi ka nabez shanse hoon
kabhi aka mujh sa tu pouchata ka main kis ka ghame main udas hon

yeh mari kitabe hayat ha isaay dil ki ankh sa parh zara
main lafz lafz tearay samnaya teray robaru teray pass hon

yeh teari umed ko kya hoa kabhi tu na ghore nahi kya 
kisi shame tu na kha tu tha tari sans hon tari ase hon

yeh tari judayi ka ghme nahi ka yeh silsaly tu hain roze ka 
tari zat is ka sabeb nahi kaie din sa unhe udas hon

kisi ur ki ankh sa dekh ker mujh asay wasy laqabe na day
tera aytebare hon janemen na guman hon na qyas hon

Khud Aik Khawab Tha Woh Mujh Ko Khawab Kya Deta

Dua-e-Neem Shabi Ka Jawaab Kya Deta
Khud Aik Khawab Tha Woh Mujh Ko Khawab Kya Deta

Shaoor-e-Zindgi,Ehsaas-o-Aagahi, Pindaar
Mujhey Woh Iss Say Zyaada Azaab Kya Deta

Har Aik Harf Maira Waqf Tha Ussi Ke Liye
Main Uss Ke Naam Koi Intsaab Kya Deta

Na Gin Saka Jo Mairey Chehrey Ki Lakeerein Tak
Main Dil Ke Zakhmon Ka Uss Ko Hisaab Kya Deta

Maira Bhi Chehra Tha Katba Mitey Sawalon Ka
Thay Uss Ke Hont Bhi Pathar Jawab Kya Deta !

Apni Palkon Pey Sajaati Ho Jinhein Pichley Pehar

Apney Khwabon Mein Kahin Maira Guzar Rahney Do 
Apni Aankhon Mein Kahin Maira Seher Rehney Do...

Dhiyaan Ke Taaq Say Yaadon Ko Hata Do 
Lekin Inn Kitaabon Mein Kahin Maira Asar Rehney Do...

Apni Palkon Pey Sajaati Ho Jinhein Pichley Pehar 
Unn Sitaaron Mein Kahin Maira Safar Rehney Do� 

Apney Lehjey Say Mita Do Mairi Khushboo Chaahey
Apni Baaton Mein Kahin Maira Ziker Rehney Do�

Sab Sitaaron Ke Kayi Chaand Aur Sooraj Hain 
Inn Qataaron Mein Kahin Maira Qamar Rehney Do...

Ikk Naya Shehar Basa Lo Dil-e-Barbad Mein Tum 
Apni Raahon Mein Kahin Maira Nagar Rehney Do...!

Aahat Jo Suni Wasl Ki Mainey, To Ye Samjha

Kashkol Mairi Zeest Ka Haathon Mein Diya Hai
Ye Bhi Mairey Maabood Ka Andaaz-e-Ataa Hai

Aahat Jo Suni Wasl Ki Mainey, To Ye Samjha
Yaadon Ke Dareechey Mein Koi Aan Kharra Hai

Be-noor Huwa Aaj Mairi Shaam Ka Chehra
Shayad Ke Pas-e-Parda-e-Shab Koi Kharra Hai

Ekk Weham Hai Mairey Liye Taaron Ke Jazeerey
Ekk Dhool Mairey Saamney Manzil Ka Pata Hai

Kya Jaaniye Gum Karda Woh Kya Dhoond Raha Hai
Har Shakhs Ke Chehrey Ko Jo Woh Parrhta Raha hai

Jiss Shehar Ko Chorra Tha Woh Ye Shehar Nahin Hai
Khwabon Ka Woh Mosam Na Khayaalon Ki Fiza Hai

Har Roz Badalta Hai Kayi Rang Jo Chehra
Maloom Nahin Kiss Ke Ye Chehray Ki Adaa Hai !

Hum Ne Barrhaya Haath Ussey Apnaa Jaan Kar

Kuch Iss Tarah Say Aaj Sataaya Gaya Mujhey
Maira Shikashta Dil Hi Dikhaaya Gaya Mujhey

Daikha Gaya Na Zabt Mairi Aankh Ka Kabhi
Zulm-o-Sitam Say Aaj Rulaaya Gaya Mujhey

Dil Tor Kar Maira Bhari Mehfil Ke Saamney
Rasn-e-Duniya Hai Ye, Bataaya Gaya Mujhey

Hum Ne Barrhaya Haath Ussey Apnaa Jaan Kar
Gairon Ko Apna Keh Ke, Jalaaya Gaya Mujhey

Jab Doobney Lage Thay Kinaarey Ke Paas Hum
To Door Say Safeena, Dikhaaya Gaya Mujhey !