Showing posts with label hazrat Shah Niyaz Ahmed. Show all posts
Showing posts with label hazrat Shah Niyaz Ahmed. Show all posts

Saturday, 16 February 2013

Jo hain aashna sir�re asraar ke - Hazrat Shah Niyaz Ahmed R.A.



Jo hain aashna sir�re asraar ke 
Wo hain yaar har yaar-o-aghyaar ke 

Andhera ujaala, nihaan aur ayaan

Ye jalwe hain sab jalwa-e-yaar ke

Bahaar-o-khizaan hum pe hai eksaan
Kabhi yaar-e-ghul hain kabhi khaar ke

Idhar ki nahin jaante rasm-o-raah
Miyan hum to baashinda hain paar ke 

Kahaan se kahaan le ke panhucha ye dil
Malaayak jahaan se rahye haar ke

Nahin Qais-o-Farhaad sa main �Niyaz�
Ke hon gard-e-sahra�o-kohsaar ke 

~ Hazrat Shah Niyaz Ahmed R.A.


Thursday, 18 October 2012

Kafir-e-ishq hoon main banda-e-islam nahin - Hazrat Qibla Shah Niyaz Beniyaz R.A.





Kafir-e-ishq hoon main banda-e-islam nahin
But parasti ke siwa aur mujhe kaam nahin

Ishq mein poojta hoon qibla-o- kaaba apna
Ek pal dil ko mere uske bin aaraam nahin

Bulhawas paanw na rakhiyo kabhi is raah ke beech
Koocha-e-ishq hai ye raguzar-e-aam nahin

Haye re haye chali jaati hai yun fasl-e-bahaar
Kya karoon bas nahin apna wo sanam ram nahin

Aar kya hai tujhe duniya ki malaamat se �Niyaz�
Aashiqon mein tuu akelaa hi to badnaam nahin 

~ Hazrat Qibla Shah Niyaz Beniyaz R.A.