Monday, 13 June 2016

Aankh Pur-num, Ashq Zam Zam

Aankh Pur-num, Ashq Zam Zam
Sans Madham, Waqt Hai Kam

Wasl Rahat, Hijr Matam
Aah Nikle, Mout Marham...

Khayal Kese Kese

Mere Dil Ko Aate Hain Khayal Kese Kese
Jane Wala De Gaya Hai Sawaal Kese Kese

Meri Manzil Ki Jaanib Koi Rahguzar Hi Nahi
Taqdeer Bunn Rahi Hai Ab K Jaal Kese Kese

Kabhi K Din Bary Kabhi Ki Raatain
Zindagi Ne Guzaar Diye Maah-o-Saal Kese Kese

Lamha Lamha Khamosh Rehna Lamha Lamha Udaas
Hum Ne Paal Liye Hain Wabaal Kese Kese

Humy To Pyar Faqat Us Ek Chehray Se Tha
Wagarna Dekhne Ko Hain Husn-o-Jamaal Kese Kese

Khamoshi Kisi Sawal Ka Jawab Kya Ho Akaash
Khamoshi Khud Paida Karti Hai Sawaal Kese Kese...

Ye Kon Log Andhairon Ki Bat Karte Hain

Ye Kon Log Andhairon Ki Bat Karte Hain
Abhi To Chand Teri Yad K Dhale Bhi Nahi...

Tu Ne To Tark-e-Mohabbat Ki Qasam Khai Thi

Tu Ne To Tark-e-Mohabbat Ki Qasam Khai Thi
Kiun Teri Aankh Mujhe Dekh Kar Bhar Ai Hai...?

Ab Kitaabon Main Jee Nahi Lagta

Ab Kitaabon Main Jee Nahi Lagta
Betha Insaan Parhta Rehta Hun...

Maslihat K Dhaagon Ne Hont Si Diye Mere

Maslihat K Dhaagon Ne Hont Si Diye Mere
Warna Apne Tootne Ka Kis Ko Gham Nahi Hota...

Bhool Jaun To Jee Nahi Lagta

Bhool Jaun To Jee Nahi Lagta
Yaad Ate Ho Dum Nikalta Hai...