Monday, 1 October 2012

Best Urdu poetry 1 ok

urdu gazal

urdu gazal

kis qadar 
hayat ek mustakil

rstay main kisi 

benoor aankhon main

ajab shikwa sa
kis ne us ko daykha hi

in badlon say

mohbat hamse
mohbat thi

aey mujay bhoolne wally

yar b rah ki deywar samjte hen
galti howi k tujhe
meri maut par

hota hi apni

ham ne har kar

apne matlab k 

yun b howa hi rat ko

howa hi yeh hall baresh ki

teri wafa jana

jis din say chala hon

wo sonta tu mainkehta 

hijr k mosam main

ab kisi baat pay kya

es tasawar say he 

mujay sab kabool hi likin

mujay na dhond 

pagal larki mera afsana

aj tak tayri yadon

na kisi ki deed howi

meri zindgi mujay bata 

silsila tor diya us nay

es qadar Qeemti tu

taajub hi teri
































































Monday, 18 June 2012

Tumhare dar pe sada kham sar-e-niyaz rahe......

Tumhare dar pe sada kham sar-e-niyaz rahe



Namaz-e-ishq ka ye silsila daraaz rahe





Sar-e-niyaz ka kya hai raha, raha na raha



Khuda kare ke tera aastaan-e-naaz rahe





Wo sar hi kya ke na ho jis pe ishq ka sauda



Wo dil hi kya ke ulfat se beniyaaz rahe





Maza isi mein hai aashiq ko zindagaani ka



Kisi ki yaad rahe aur aah jaan gudaaz rahe





Fareb-e-husn ke parde jo darmiyaan se uthe



Niyaz-o-naaz mein kuchh bhi na imtiyaaz rahe





Yahi hai haasil-e-ulfat, yahi hai maa�na-e-ishq



Niyazmand rahoon main, wo beniyaaz rahe !!!!!!

Monday, 7 May 2012

Paas aatey hain merey aur na bulatey hain mujhe - Hazrat Kamil Hyderabadi

Paas aatey hain merey aur na bulatey hain mujhe

Ye bhi kya kam hai ke wo yaad to aatey hain mujhe



Daayam abaad rahey yun hi bhari bazm unki

Ban ke khud shamm�aa jo parwaana banaatey hain mujhe



Sadqa husn-e-nazar hai meri masti saari

Unke qurbaan jo aankhon se pilaatey hain mujhe



Meri kya bood hai sab unka wajood unka namood

Kaise nadaan hain jo saamney laatey hain mujhe



Jaante hain ke nahin unke siwa koi meraa

Kuchh samajh kar ke hi daaman mein chhupaatey hain mujhe



Kahiye kis khusrawe khooban ki aamad �Kamil�

Roonumaai mein do aalam nazar aatey hain mujhe



~ Hazrat �Kamil� Hyderabadi