Monday, 27 May 2013

Ishq-e-butaan ka le ke sahaara kabhi kabhi - �Arsh� Malsiayani



Ishq-e-butaan ka le ke sahaara kabhi kabhi,
Apne Khuda ko hum ne pukaara kabhi kabhi;

Aasooda-e-Khaatir hi naheen matmah-e-wafa,
Gham bhi kiya hai hum ne gawaara kabhi kabhi;

Is intehaa-e-tark-e-muhabbat ke ba-wajood,
Hum ne liya hai naam tumhaara kabhi kabhi;

Tufaan ka khauf hai abhi shayad karishma-kaar,
Aata hai samne jo kinaara kabhi kabhi,

Tanhaa-ravi ne rak�khi humaare junoon ki laaj,
Go ahl-e-kaarwan ne pukaara kabhi kabhi;

Ab kya kahein dil-e-mutalavvin-mizaaj ko,
Aksar ye aap ka hai,humaara kabhi kabhi;

Paiham sitam se ishq ki taskeen ho na jaaye,
Aye dost iltifaat Khudaa-ra kabhi kabhi;

Fariyaad-e-gham se �arsh� sambhalta hai dil magar,
Lete hain ahl-e-dil ye sahaara kabhi kabhi..!!!

~ �Arsh� Malsiayani

--------------------------------------------------------------------------
Aasooda-e-Khaatir = Khushaali ke liye
matmah-e-wafa = Wafa ki chaahat
dil-e-mutalavvin-mizaaj = Wo dil jiska mizaj humesha badalta ho
Paiham = Humesha, lagataar
Iltifaat = Rahem










Sunday, 5 May 2013

Ye bhi kya ghar hai, barbaad bhi, aabaad bhi - �Asghar� Gondavi


Hai dil-e-nakaam-e-aashiq mein tumhari yaad bhi,
Ye bhi kya ghar hai, barbaad bhi, aabaad bhi;

Dil ke mitne ka mujhe kuchh aur aisa gham nahin,
Haan magar itna, ke hai is mein tumhari yaad bhi;

Kis ko ye samjhaaiye nairang-e-kaar-e-aashiqui,
Tham gaye ashk-e-musalsal, ruk hai fariyaad bhi;

Seeney mein dard-e-muhabbat raaz ban kar rah gaya,
Ab wo haalat hai ke kar sakte nahin faryaad bhi;

Phaad daloonga gareeban, phor daloonga apna sar,
Hai mere aafatkade mein kais bhi farhaad bhi

Kuchh to �Asghar� mujh mein hai, qaayam hai jis se zindagi,
Jaan bhi kahte hain is ko aur unki yaad bhi;

~ Hazrat �Asghar� Gondavi