Tumhare dar pe sada kham sar-e-niyaz rahe
Namaz-e-ishq ka ye silsila daraaz rahe
Sar-e-niyaz ka kya hai raha, raha na raha
Khuda kare ke tera aastaan-e-naaz rahe
Wo sar hi kya ke na ho jis pe ishq ka sauda
Wo dil hi kya ke ulfat se beniyaaz rahe
Maza isi mein hai aashiq ko zindagaani ka
Kisi ki yaad rahe aur aah jaan gudaaz rahe
Fareb-e-husn ke parde jo darmiyaan se uthe
Niyaz-o-naaz mein kuchh bhi na imtiyaaz rahe
Yahi hai haasil-e-ulfat, yahi hai maa�na-e-ishq
Niyazmand rahoon main, wo beniyaaz rahe !!!!!!